Nibhana jaante… Love Ki Shayari

निभाना जानते हो, अगर मैं पूछूँ क्या है इश्क तो बताना जानते हो,
चलो इस रिश्ते की लगाम तुम्हें सौंप देते है, बस ये बता दो चलाना जानते हो?
Nibhana jaante ho, agar main poochun kya hai ishq to batana jaante ho,
Chalo is rishte ki lagaam tumhe saunp dete hai, bas ye bata do chalana jaante ho?

Love ki Shayari

उदास एक मुझ ही को तो कर नहीं जाता,
अरे वो मुझसे रूठ के तो अपने घर भी नहीं जाता,
वो दिन गए जब मोहब्बत थी जान की बाजी,
किसी से अब कोई बिछड़े तो मर नहीं जाता!
Udaas ek mujh hi ko to kar nahi jaata,
Arrey wo mujhse rooth ke to apne ghar bhi nahi jaata,
Wo din gaye jab mohabbat thi jaan ki baazi,
Kisi se ab koi bichad ke to mar nahi jaata!

ये जो होश में रहता नहीं तुमसे मिलकर,
ये मेरा इश्क है तुम इसे नशा मत समझो,
राज आता नहीं मोहब्बत का सबको ये समझ,
मेरी बीमारी को तुम अपना मरहम मत समझो!
Ye jo hosh mein rehta nahi tumse milkar,
Ye mera ishq hai tum ise nasha mat samjho,
Raaz aata nahi mohabbat ka sabko ye samajh,
Meri bimaari ko tum apna marham mat samjho!

Log toot… Love Ki Shayari

लोग टूट जाते है एक घर बनाने में,
और तुम संकोच नहीं करते बस्तियां जलाने में!
Log toot jaate hai ek ghar banana mein,
Aur tum samkoch nahi karte bastiyan jalaane mein!

Love ki Shayari

मैं सारी उम्र अँधेरों में काट सकता हूँ,
मेरे दीयों को रोशनी पराई ना दे,
और अगर यही तेरी दुनिया का हाल है मालिक,
तो मेरी कैद भली है मुझे रिहाई ना दे!
Main saari umr andheron mein kaat sakta hun,
Mere diyon ko roshni paraayi na de,
Aur agar yahi teri duniya ka haal hai maalik,
To meri kaid bhali hai, mujhe rihaayi na de!

ना फिक्र कोई ना जुस्तजू है, ना ख्वाब कोई ना आरजू है,
ये शख्स कब का मर चुका है, फिर ये बे-कफ़न लाश क्यूँ है?
Na fikr koi na justuju hai, na khwaab koi, na aarzoo hai,
Ye shakhs kab ka mar chuka hai, fir ye be-kafan laash kyun hai?

Love ki Shayari

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *