Bazaar-e-ishq… Hindi Shayari on Life

बाजार-ए-इश्क में वो मेरी सच्ची मोहब्बत का दाम पूछती है,
मेरे नाम की कसमें खाने वाली, आज मेरा ही नाम पूछती है!
Bazaar-e-ishq mein wo meri sacchi mohabbat ka daam poochti hai,
Mere naam ki kasmein khaane wali, aaj mera hi naam poochti hai!

Hindi Shayari on Life

गीत लिखे भी तो ऐसे की सुनाए ना गए,
जख्म यूं लफ्जों में उतरे की दिखाए ना गए,
और आज तक रखे है, पछतावे की अलमारी में,
एक-दो वादे जो दोनों से कभी निभाए ना गए!
Geet likhe bhi to aise ki sunaaye na gaye,
Jakhm yun lafjon mein utre ki dikhaaye na gaye,
Aur aaj tak rakhe hai, pachtaave ki almaari mein,
ek-do wade jo dono se kabhi nibhaaye nag aye!

मैं जब मर जाऊँ तो मेरी अलग पहचान लिख देना,
लहू से मेरी पेशानी पे हिंदुस्तान लिख देना!
Main jab mar jaaun to meri alag pehchaan likh dena,
Lahu se meri paishaani pe Hindustan likh dena!

Agar lab par… Hindi Shayari on Life

अगर लब पर किसी के सिर्फ एक मुस्कान होती है,
तो यारों फिर अनजान सूरत भी कहाँ अनजान होती है!
Agar lab par kisi ke sirf ek Muskaan hoti hai,
To yaaron fir anjaan surat bhi kahan anjaan hoti hai!

Hindi Shayari on Life

तेरे दिये जख्म भरने लगे है, मैं इन जख्मों को कुरेद दूँ क्या,
दिल तो कब का लुट चुका है जाना, मैं दिल का दरवाजा खुला छोड़ दूँ क्या?
Tere diye jakhm bharne lage hai, main in jakhmo ko kured dun kya,
Dil to kab ka lut chuka hai jaana, main dil ka darwaza khula chod dun kya?

आनी बुनियाद का पत्थर है, लेकिन हमें घर से निकाला जा रहा है,
जनाजे पर मेरे लिख देना यारों, मोहब्बत करने वाला जा रहा है!
Aani buniyaad ka patthar hai, lekin hamein ghar se nikaala ja raha hai,
Janaaze par mere likh dena yaaron, mohabbat karne wala ja raha hai!

Tumne bahut dekhe… Hindi Shayari Love

तुमने बहुत देखे है मुझ जैसे, तुम देखना एक दिन सबसे अलग दिखूँगा मैं,
लगे जो कहीं कभी बाजार-ए-इश्क मेरा तो बेच देना, सबसे महंगा बिकूँगा मैं!
Tumne bahut dekhe hai mujh jaise, tum dekhna ek din sabse alag dikhunga main,
Lage jo kahin kabhi bazaar-e-ishq mera to bech dena, sabse mehnga bikunga main!

गर किसी को चाहो तो चाहो इतना कि,
किसी और चाहत की चाह भी ना रहे!
Gar kisi ko chaho to chaho itna ki,
Kisi aur chahat ki chah bhi na rahe!

बादल कितने खुश है, सारी बूंदें जमीं पर ले आए,
मोहब्बत में कितनों ने झूठ बोले, और कितने यकीं पे ले आए!
Baadal kitne khush hai, saari boonde jamin par le aaye,
Mohabbat mein kitno ne jhooth bole, aur kitne yakin pe le aaye!

मोहब्बत हमने भी की थी किसी जमाने में,
थे आदमी काम के हम भी किसी जमाने में,
मालूम नहीं इन दिनों जाने कहाँ रहती है वो,
वो जो मेरे दिल में रहती थी, किसी जमाने में!
Mohabbat hamne bhi kit hi kisi jamaane mein,
The aadmi kaam ke hum bhi kisi jamaane mein,
Maloom nahi in dino jaane kahan rehti hai wo,
Wo jo mere dil mein rehti thi, kisi jamaane mein!

यूं बदल जाते है मौसम, हमें मालूम ना था,
प्यार है, प्यार का मातम हमें मालूम ना था,
Yun badal jaate hai Mausam hamein maloom na tha,
Pyar hai, pyar ka maatam hamein maloom na tha!

इस मोहब्बत में यहाँ किसका भला होना है,
हर मुलाकात की किस्मत में जुदा होना है!
Is mohabbat mein yahan kiska bhala hona hai,
Har mulakaat ki kismet mein juda hona hai!

Tumhe mujhse door… Hindi Shayari Love

तुम्हें मुझसे दूर रहना आसान लगता है,
बगैर तुम्हारे ये घर, घर नहीं, मकान लगता है!
Tumhe mujhse door rehna asaan lagta hai,
Bagair tumhare ye ghar, ghar nahi, makaan lagta hai!

Hindi Shayari Love