Ae andhere dekh… Maa Shayari

ऐ अंधेरे देख ले मुँह तेरा काला हो गया,
माँ ने आँखें खोल दी घर में उजाला हो गया!
Ae andhere dekh le muh tera kaala ho gaya,
Maa ne Aankhen khol di ghar mein ujaala ho gaya!

Maa Shayari

कुछ इस तरह मेरे गुनाहों को धो देती है,
माँ बहुत गुस्से में होती है तो रो देती है!
Kuch is tarah mere gunaahon ko dho deti hai,
Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai!

Tumhe bistar par… Maa Shayari

तुम्हें बिस्तर पर सुला कर खुद जमीं पर सो लेती है,
माँ तुम्हारी खुशी के लिए अपने आप को भी खो देती है,
वो ममता की मूरत है, अपना गुस्सा निकले तो निकले कैसे यारों,
और माँ ज्यादा गुस्से में हो तो खुद ही रो देती है!

Tumhe bistar par sula kar khud jamin par so leti hai,
Maa tumhari khushiyon ke liye apne aap ko bhi kho deti hai,
Wo mamta ki moorta hai, apna gussa nikle to nikale kaise yaaron,
Aur maa jyada gusse mein ho to khud hi ro deti hai!

उसके पल्लू ने ही ना जाने कितने तूफ़ानों को मोड दिया,
और छान के जहर को अपने पल्लू से अमृत कर दिया,
कल आया था समंदर हमें भी डुबाने,
मां ने उसे भी पल्लू में समेटा और निचोड़ दिया!
Uske pallu ne hi na jaane kitne toofano ko mod diya,
Aur chaan ke jehar ko apne pallu se amrit kar diya,
Kal aaya tha samandar hame bhi dubaane,
Maa ne use bhi pallu mein sameta aur nichod diya!

जब उसने मुझे छोड़ दिया,
तो मैंने खुदा से अपनी मौत की दुआ मांगी,
खुदा ने कहा की मौत तो तुझे मैं दे दूँ,
लेकिन उस मां का क्या करूँ, जो रोज तेरी लंबी उम्र की दुआ मांगती है!
Jab usne mujhe chod diya,
To maine khuda se apni maut ki dua maangi,
Khuda ne kaha ki maut to tujhe main de du,
Lekin us maa ka kya karun, jo roj tere lambi umr ki dua maangti hai!

Taqleef mujhe hoti… Maa Shayari

तकलीफ मुझे होती है और वो पूरी रात नहीं सोती,
कैसे बताऊँ उसके बारें में, माँ शब्दों में बयान नहीं होती!
Taqleef mujhe hoti hai aur wo poori raat nahi soti,
Kaise bataun uske baarein mein, Maa shabdo mein byan nahi hoti!

Maa Shayari

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *