Bazaar-e-ishq… Hindi Shayari on Life
बाजार-ए-इश्क में वो मेरी सच्ची मोहब्बत का दाम पूछती है,
मेरे नाम की कसमें खाने वाली, आज मेरा ही नाम पूछती है!
Bazaar-e-ishq mein wo meri sacchi mohabbat ka daam poochti hai,
Mere naam ki kasmein khaane wali, aaj mera hi naam poochti hai!
गीत लिखे भी तो ऐसे की सुनाए ना गए,
जख्म यूं लफ्जों में उतरे की दिखाए ना गए,
और आज तक रखे है, पछतावे की अलमारी में,
एक-दो वादे जो दोनों से कभी निभाए ना गए!
Geet likhe bhi to aise ki sunaaye na gaye,
Jakhm yun lafjon mein utre ki dikhaaye na gaye,
Aur aaj tak rakhe hai, pachtaave ki almaari mein,
ek-do wade jo dono se kabhi nibhaaye nag aye!
मैं जब मर जाऊँ तो मेरी अलग पहचान लिख देना,
लहू से मेरी पेशानी पे हिंदुस्तान लिख देना!
Main jab mar jaaun to meri alag pehchaan likh dena,
Lahu se meri paishaani pe Hindustan likh dena!
Agar lab par… Hindi Shayari on Life
अगर लब पर किसी के सिर्फ एक मुस्कान होती है,
तो यारों फिर अनजान सूरत भी कहाँ अनजान होती है!
Agar lab par kisi ke sirf ek Muskaan hoti hai,
To yaaron fir anjaan surat bhi kahan anjaan hoti hai!
तेरे दिये जख्म भरने लगे है, मैं इन जख्मों को कुरेद दूँ क्या,
दिल तो कब का लुट चुका है जाना, मैं दिल का दरवाजा खुला छोड़ दूँ क्या?
Tere diye jakhm bharne lage hai, main in jakhmo ko kured dun kya,
Dil to kab ka lut chuka hai jaana, main dil ka darwaza khula chod dun kya?
आनी बुनियाद का पत्थर है, लेकिन हमें घर से निकाला जा रहा है,
जनाजे पर मेरे लिख देना यारों, मोहब्बत करने वाला जा रहा है!
Aani buniyaad ka patthar hai, lekin hamein ghar se nikaala ja raha hai,
Janaaze par mere likh dena yaaron, mohabbat karne wala ja raha hai!