Teri zulfon ki… Tareef Shayari

तेरी जुल्फ़ों की छाँव का मुंतज़िर हुआ जाता हूँ,
अब ये आलम है की बारिश भी सूखी लगती है!
Teri zulfon ki chaav ka muntazir hua jaata hun,
Ab ye aalam hai ki baarish bhi sookhi lagti hai!

Tareef Shayari

उसने होंठों से छू कर दरिया का पानी गुलाबी कर दिया,
हमारी तो बात ही क्या थी, उसने तो मछलियों को भी शराबी कर दिया!
Usne hothon se chu kar dariya ka paani gulaabi kar diya,
Hamaari to baat hi kyat hi, usne to machliyon ko bhi sharabi kar diya!

चाँद के दीदार को तुम छत पर क्या चले आए,
शहर में ईद की तारीख मुकम्मल हो गयी!
Chaand ke didaar ko tum chatt par kya chale aaye,
Shehar mein eid ki tareekh mukammal ho gayi!

Pata nahi labon… Tareef Shayari

पता नहीं लबों से लब कैसे लगा लेते है लोग,
तुमसे नजरे मिल जाए तो हमें होश नहीं रहता!
Pata nahi labon se lab kaise laga lete hai log,
Tumse nazrein mil jaaye to hame hosh nahi rehta!

Tareef Shayari

वजह पूछोगे तो सारी उम्र बीत जाएगी,
कहा ना अच्छे लगते हो तो बस लगते हो!
Wajah poochoge to saari umr beet jaayegi,
Kaha na, ache lagte ho to bas lagte ho!

लिख दूँ किताब तेरी मासूमियत पर फिर डर लगता है,
कहीं कोई तेरा तलबगार ना हो जाए!
Likh dun kitab teri masumiyat par fir dar lagta hai,
Kahin kar koi tera talabgaar na ho jaaye!

जिसका कोई जवाब नहीं वो सवाल हैं आप,
दिल देखने को तरसे वो हसीन ख्याल हैं आप,
बेमिसाल हुस्न और अदाओं का खज़ाना देख कर,
फ़रिश्ते भी कहते होंगे, क्या कमाल है आप!
Jiska koi jawaab nahi wo sawaal hain aap,
Dil dekhne ko tarse wo haseen khayal hain aap,
Bemisaal husn aur adaaon ka khazaana dekh kar,
Faristhey bhi kehte honge, kya kamaal hain aap!

Main to fanna… Tareef Shayari

मैं तो फ़ना हो गया उसकी एक झलक देख कर,
ना जाने हर रोज आईने पे क्या गुजरती होगी!
Main to fanna ho gaya uski ek jhalak dekh kar,
Na jaane har roz aaine pe kya guzarti hogi!

Tareef Shayari

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *