किसी को बताने से मेरे आँसू रुक ना पाएंगे,
मिट जाएगी ये जिंदगी पर ये थम ना पाएंगे!
Kisi ko bataane se mere aansoo ruk na payenge,
Mit jayegi ye zindagi par ye tham na payenge!
Aaghosh-e-sitam… Aansoo Shayari
आग़ोश-ए-सितम में छुपा ले कोई,
तन्हा हूँ तड़पने से बचा ले कोई,
सूखी है बड़ी देर से पलकों की जुबां,
बस आज तो जी भर के रुला दे कोई!
Aaghosh-e-sitam mein chupa le koi,
Tanha hun tadapne se bacha le koi,
Sookhi hai badi der se palkon ki juban,
Bas aaj to ji bhar ke rula de koi!
भर आई मेरी आँखें जब उसका नाम आया,
इश्क नाकाम ही सही पर मेरे काम तो आया,
हमने मोहोब्बत में ऐसी भी गुजारी कई रातें,
जब तक आँसू ना बहे दिल तो चैन ना आया!
Bhar aayi meri aankhen jab uska naam aaya,
Ishq nakaam hi sahi, par mere kaam to aaya,
Hamne mohobbat mein aisi bhi gujaari kayi raatein,
Jab tak aansoo na bahe, dil ko chain na aaya!
वो अश्क बनके मेरी चश्म-ए-तर में रहता है,
अजीब शख्स है पानी के घर में रहता है!
Wo ashk banke meri chashm-e-tar mein rehta hai,
Ajeeb shakhs hai paani ke ghar mein rehta hai!
सदियों बाद उस अजनबी से मुलाकात हुई,
आँखों ही आँखों में चाहत की हर बात हुई,
जब जाते हुए देखा उसने प्यार भरी निगाहों से,
मेरी आँखों से उस दिन आँसुओं की बरसात हुई!
Sadiyon baad us ajnabi se mulakaat hui,
Aankhon hi aankhon mein chahat ki har baat hui,
Jab jaate hue dekha usne pyaar bhari nigaahon se,
Meri aankhon se us din aansuon ki barsaat hui!
प्यार करके कोई जताए ये जरूरी तो नहीं,
याद करके कोई बताए ये जरूरी तो नहीं,
रोने वाले तो दिल में ही रो लेते है अपने,
आँखों से भी आँसू आए ये जरूरी तो नहीं!
Pyaar karke koi jataye ye jaruri to nahi,
Yaad karke koi bataye ye jaruri to nahi,
Rone waale to dil mein hi ro lete hai apne,
Aankhon se bhi aansoo aaye ye jaruri to nahi!